bhatkata phir raha dar dar kisi ki
kahaani jaanta hoon har kisi ki
bichhadte waqt jo ro kar gai thi
vo dulhan ban gayi hans kar kisi ki
kahi berozgaari chha rahi hai
bani hai zindagi daftar kisi ki
muhabbat khush-nasibon ki mukammal
adhuri rah gai hai par kisi ki
chhupaaye chhup na paayega ye pahluu
ki yaad aati mujhe akshar kisi ki
भटकता फिर रहा दर दर किसी की
कहानी जानता हूँ हर किसी की
बिछड़ते वक़्त जो रो कर गई थी
वो दुल्हन बन गयी हँस कर किसी की
कहीं बेरोज़गारी छा रही है
बनी है ज़िन्दगी दफ़्तर किसी की
मुहब्बत ख़ुश-नसीबों की मुकम्मल
अधूरी रह गई है पर किसी की
छुपाए छुप न पाएगा ये पहलू
कि याद आती मुझे अक्सर किसी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by jaani Aggarwal taak
our suggestion based on jaani Aggarwal taak
As you were reading Dar Shayari Shayari