ye to ham achhe se jaane hain
ye lamhe khoob yaad aane hain
raam ko bas ik din hi aana hai
shabri saalon phool bichaane hain
meera mohan ki deewani hai
aur ham meera ke deewane hain
har baar main sahi nikla hoon khair
aap mera bola kab maane hain
sab jaane anjaam muhabbat ka
phir bhi jaan ke sab anjaane hain
tum par bhi likhna baaki hai par
pehle ghisate note chalaane hain
ghar mein gurbat fan failaaye hai
ham ko dil-vil nahin lagaane hain
aur shaayri nahin karne hamko
aur maa-baba nahin sataane hain
ये तो हम अच्छे से जाने हैं
ये लम्हें ख़ूब याद आने हैं
राम को बस इक दिन ही आना है
शबरी सालों फूल बिछाने हैं
मीरा मोहन की दीवानी है
और हम मीरा के दीवाने हैं
हर बार मैं सही निकला हूँ, ख़ैर
आप मेरा बोला कब माने हैं
सब जाने अंजाम मुहब्बत का
फिर भी जान के सब अनजाने हैं
तुम पर भी लिखना बाक़ी है पर
पहले घिसते नोट चलाने हैं
घर में ग़ुर्बत फन फैलाए है
हम को दिल-विल नहीं लगाने हैं
और शाइरी नहीं करनी हमको
और माँ-बाबा नहीं सताने हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagveer Singh
our suggestion based on Jagveer Singh
As you were reading Hunar Shayari Shayari