dil jab uski amaan se nikla
samjho main imtihaan se nikla
ek shikwa tha aakhirsh vo bhi
sher hokar zabaan se nikla
apna saara bacha kucha nuksaan
zindagi ki dukaan se nikla
main musalsal sukoot sunta raha
aur lahu mere kaan se nikla
pehle nikla main khuld se aur phir
dil se nikla jahaan se nikla
chaar-soo ghar main dhoondhne ke liye
roz ruswa makaan se nikla
दिल जब उसकी अमान से निकला
समझो मैं इम्तिहान से निकला
एक शिकवा था आख़िरश वो भी
शेर होकर ज़बान से निकला
अपना सारा बचा कुचा नुक़सान
ज़िंदगी की दुकान से निकला
मैं मुसलसल सुकूत सुनता रहा
और लहू मेरे कान से निकला
पहले निकला मैं ख़ुल्द से और फिर
दिल से निकला जहान से निकला
चार-सू घर मैं ढूँढ़ने के लिए
रोज़ रुसवा मकान से निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan
our suggestion based on Kaif Uddin Khan
As you were reading Life Shayari Shayari