gham mein har baar tujhe yaar pukaara maine
kar liya phir se wahi kaam dobaara maine
kitni aankhon ki udaasi ka sabab ban baitha
khud ko saahil pe jo ik roz utaara maine
taaki duniya mujhe khudgarzi ka tamgha na de
mausam-e-gul mein kiya usse kinaara maine
meri izzat isee chadar se dhaki rah jaaye
paanv utna hi mere yaar pasaara maine
tum ko aaya hi nahin ishq nibhaana khalid
dil ke bazaar mein kar daala khasaara maine
ग़म में हर बार तुझे यार पुकारा मैंने
कर लिया फिर से वही काम दुबारा मैंने
कितनी आँखों की उदासी का सबब बन बैठा
ख़ुद को साहिल पे जो इक रोज़ उतारा मैंने
ताकि दुनिया मुझे खु़दगर्ज़ी का तमग़ा न दे
मौसम-ए-गुल में किया उससे किनारा मैंने
मेरी इज्ज़त इसी चादर से ढकी रह जाए
पांव उतना ही मिरे यार पसारा मैंने
तुम को आया ही नहीं इश्क़ निभाना 'खालिद'
दिल के बाज़ार में कर डाला ख़सारा मैंने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Ulfat Shayari Shayari