thak chuka hoon dekh kar main waqt ki raftaar ko
har jagah pe har dafa to kuchh naye kirdaar ko
jab talak khaamosh main tha bolte hi vo rahe
chup hue hain ab meri vo dekh kar guftaar ko
saath tere ishq ka bhi main kabhi karta safar
par hamein chalna pada hai dekh kar ghar-baar ko
khaak shaayad dasht ki chaani hai usne umr bhar
ghar samajh baitha faqat vo dekh kar deewaar ko
baat haq ki aaj tak karte rahein hain har jagah
lafz ham badle nahin hain dekh kar darbaar ko
faisla maidaan ka manzoor hai har haal mein
ham kahaan darte kabhi hain dekh kar saalar ko
ab ghazal mein dard ki taaseer khaalid kam karo
sab ke sab to ro rahe sun ke ab asha'ar ko
थक चुका हूँ देख कर मैं वक़्त की रफ़्तार को
हर जगह पे हर दफ़ा तो कुछ नए किरदार को
जब तलक ख़ामोश मैं था बोलते ही वो रहे
चुप हुए हैं अब मेरी वो देख कर गुफ़्तार को
साथ तेरे इश्क़ का भी मैं कभी करता सफ़र
पर हमें चलना पड़ा है देख कर घर-बार को
ख़ाक शायद दश्त की छानी है उसने उम्र भर
घर समझ बैठा फक़त वो देख कर दीवार को
बात हक़ की आज तक करते रहें हैं हर जगह
लफ्ज़ हम बदले नहीं हैं देख कर दरबार को
फ़ैसला मैदान का मंजूर है हर हाल में
हम कहां डरते कभी हैं देख कर सालार को
अब ग़ज़ल में दर्द की तासीर ख़ालिद कम करो
सब के सब तो रो रहे सुन के अब अश’आर को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Child labour Shayari Shayari