raabta ishq ka is baar mukammal kar doon
aa mere paas tujhe choo ke main sandal kar doon
mujhko shohrat ki ghulaami nahin achhi lagti
varna main thehre hue paani mein halchal kar doon
hijr se pehle to itni hi meri khwaahish hai
ik nazar dekh ke us shakhs ko paagal kar doon
meri khuddaari ne har badhte qadam rok diye
varna is taat ke bistar ko bhi makhmal kar doon
bas yahi soch ke sehra ki taraf lautaa hoon
qissa-e-ishq ko phir se main musalsal kar doon
राब्ता इश्क़ का इस बार मुकम्मल कर दूॅं
आ मेरे पास तुझे छू के मैं संदल कर दूॅं
मुझको शोहरत की ग़ुलामी नहीं अच्छी लगती
वरना मैं ठहरे हुए पानी में हलचल कर दूॅं
हिज्र से पहले तो इतनी ही मेरी ख़्वाहिश है
इक नज़र देख के उस शख़्स को पागल कर दूॅं
मेरी ख़ुद्दारी ने हर बढ़ते क़दम रोक दिए
वरना इस टाट के बिस्तर को भी मख़मल कर दूॅं
बस यही सोच के सहरा की तरफ़ लौटा हूँ
क़िस्सा-ए-इश्क़ को फिर से मैं मुसलसल कर दूॅं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Ulfat Shayari Shayari