toot ke kis tarah bikhar jaaun
aise haalaat mein kidhar jaaun
teergi yun basi hai aankhon mein
khud ki parchhaai se bhi dar jaaun
door itna main aa chuka hoon ab
sochta hoon ki kaise ghar jaaun
raasta khud-b-khud hi chalta hai
ye alag baat main thehar jaaun
phir bulandi pe ja ke kya haasil
uske dil se hi gar utar jaaun
dil ki aakhir yahi tamannaa hai
tere kooche se ab guzar jaaun
ek uski dua se hi khaalid
kya pata doob kar ubhar jaaun
टूट के किस तरह बिखर जाऊँ
ऐसे हालात में किधर जाऊँ
तीरगी यूँ बसी है आंखों में
ख़ुद की परछाई से भी डर जाऊँ
दूर इतना मैं आ चुका हूँ अब
सोचता हूं कि कैसे घर जाऊँ
रास्ता ख़ुद-ब-ख़ुद ही चलता है
ये अलग बात मैं ठहर जाऊँ
फिर बुलंदी पे जा के क्या हासिल
उसके दिल से ही गर उतर जाऊँ
दिल की आख़िर यही तमन्ना है
तेरे कूचे से अब गुज़र जाऊँ
एक उसकी दुआ से ही ख़ालिद
क्या पता डूब कर उभर जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Haalaat Shayari Shayari