chukaaun kaise bhala main udhaar mukhiya jee
ki zyaada kharch hai aur kam pagaar mukhiya jee
khizaan hi dekhte aaye hain ham abhi tak to
dikhegi jaane hamein kab bahaar mukhiya jee
ameer logon ko mehngaai se hai kya matlab
ghareeb par hi padega ye bhaar mukhiya jee
bas ek dukh ho agar to bataaun maaee baap
faqeer ke to hain gham bhi hazaar mukhiya jee
raqm mujhe zara si chahiye hai de deeje
chadha hai beti ko meri bhuhaar mukhiya jee
chali theen gaon mein jo yojanaayein sarkaari
hua nahin koi un se sudhaar mukhiya jee
चुकाऊँ कैसे भला मैं उधार मुखिया जी
कि ज़्यादा ख़र्च है और कम पगार मुखिया जी
ख़िज़ाँ ही देखते आये हैं हम अभी तक तो
दिखेगी जाने हमें कब बहार मुखिया जी
अमीर लोगों को महँगाई से है क्या मतलब
ग़रीब पर ही पड़ेगा ये भार मुखिया जी
बस एक दुख हो अगर तो बताऊँ माई बाप
फ़क़ीर के तो हैं ग़म भी हज़ार मुखिया जी
रक़म मुझे ज़रा सी चाहिए है, दे दीजे
चढ़ा है बेटी को मेरी बुख़ार मुखिया जी
चली थीं गांँव में जो योजनाएँ सरकारी
हुआ नहीं कोई उन से सुधार मुखिया जी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Pathak
our suggestion based on Deepak Pathak
As you were reading Gareebi Shayari Shayari