husn ke tere rang hain saare
dekh ke jin ko dang hain saare
hoobahoo phoolon mein wahi khushboo
baag bhi tere ang hain saare
laakhon mein ek jogi hota hai
kehne ko yun malang hain saare
be-adab meri saari baatein hain
be-adab mere dhang hain saare
uske haathon mein dor hai sab kii
aur ham sab patang hain saare
हुस्न के तेरे रंग हैं सारे
देख के जिन को दंग हैं सारे
हूबहू फूलों में वही ख़ुशबू
बाग़ भी तेरे अंग हैं सारे
लाखों में एक जोगी होता है
कहने को यूँ मलंग हैं सारे
बेअदब मेरी सारी बातें हैं
बेअदब मेरे ढंग हैं सारे
उसके हाथों में डोर है सब की
और हम सब पतंग हैं सारे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Pathak
our suggestion based on Deepak Pathak
As you were reading Festive Shayari Shayari