der usko lag rahi hai laut aane ke liye | देर उसको लग रही है लौट आने के लिए

  - Divya 'Kumar Sahab'

der usko lag rahi hai laut aane ke liye
lag raha hai ab lahu ye muskuraane ke liye

neend aankhon se hata kar khwaab ye baithe rahe
aankhon me tumko rakha khud ko sulaane ke liye

shabd tere sah liye par teri chuppi aa lagi
teri chuppi hai yahan mujhko rulaane ke liye

aa gayi aandhi idhar jalte diye ko dekh kar
ban gaya aandhi diya aandhi bujhaane ke liye

bhool ja dil se kaha to dil mera kehne laga
dil se tum kahte nahin usko bhulaane ke liye

baat ab hoti nahin aawaaz deni thi use
pyaar aankhon se gira usko bulane ke liye

देर उसको लग रही है लौट आने के लिए
लग रहा है अब लहू ये मुस्कुराने के लिए

नींद आँखों से हटा कर ख़्वाब ये बैठे रहे
आँखों मे तुमको रखा ख़ुद को सुलाने के लिए

शब्द तेरे सह लिए पर तेरी चुप्पी आ लगी
तेरी चुप्पी है यहाँ मुझको रुलाने के लिए

आ गयी आँधी इधर जलते दिये को देख कर
बन गया आँधी दिया आँधी बुझाने के लिए

भूल जा दिल से कहा तो दिल मेरा कहने लगा
दिल से तुम कहते नहीं उसको भुलाने के लिए

बात अब होती नहीं आवाज़ देनी थी उसे
प्यार आँखों से गिरा उसको बुलाने के लिए

  - Divya 'Kumar Sahab'

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya 'Kumar Sahab'

As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'

Similar Writers

our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari