dard ye hijr kya kya basaa mujhmein hai
sirf tu aur tu aa basaa mujhmein hai
main likhoon dard to dil-jala kahte sab
meer ka ik zamaana basaa mujhmein hai
zehan kaisa ye pa ab liya hai yahan
raabta jaun se kya basaa mujhmein hai
shehar ka shor main likh raha hoon naya
kyun ye sab shor phir aa basaa mujhmein hai
shayari ka hunar mai rakhoon ya na phir
sher ye meer ka aa basaa mujhmein hai
दर्द ये हिज्र क्या क्या बसा मुझमें है
सिर्फ़ तू और तू आ बसा मुझमें है
मैं लिखूँ दर्द तो दिल-जला कहते सब
मीर का इक ज़माना बसा मुझमें है
ज़ेहन कैसा ये पा अब लिया है यहाँ
राब्ता जौन से क्या बसा मुझमें है
शहर का शोर मैं लिख रहा हूँ नया
क्यूँ ये सब शोर फिर आ बसा मुझमें है
शायरी का हुनर मै रखूँ या न फिर
शेर ये मीर का आ बसा मुझमें है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari