sar se kab bulandi ka yah futuur niklega | सर से कब बुलंदी का यह फ़ुतूर निकलेगा - M R CHAUHAN

sar se kab bulandi ka yah futuur niklega
jo agar na nikla to dam zarur niklega

koylaa samjhte hain jo hamein samajhne do
ek din yahin se hi kohinoor niklega

jis mizaaj ka hoon main us hisaab se murshid
baat-baat mein muh'n se sach zaroor niklega

chaand aur sitaare bhi pad gaye hain hairat mein
nai yakeen tha inko mujhse noor niklega

सर से कब बुलंदी का यह फ़ुतूर निकलेगा
जो अगर न निकला तो दम ज़रुर निकलेगा

कोयला समझते हैं जो हमें समझने दो
एक दिन यहीं से ही कोहिनूर निकलेगा

जिस मिज़ाज का हूॅं मैं उस हिसाब से मुर्शिद
बात-बात में मुॅंह से सच ज़रूर निकलेगा

चाँद और सितारे भी पड़ गए हैं हैरत में
नइॅं य़कीन था इनको मुझसे नूर निकलेगा

- M R CHAUHAN
9 Likes

Teacher Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M R CHAUHAN

As you were reading Shayari by M R CHAUHAN

Similar Writers

our suggestion based on M R CHAUHAN

Similar Moods

As you were reading Teacher Shayari Shayari