vo qalam ko talwaar kar dega | वो क़लम को तलवार कर देगा - Manoj Devdutt

vo qalam ko talwaar kar dega
jo bika to akhbaar kar dega

vo suhan-var hai jo kabhi rootha
rooh par seedhe vaar kar dega

ab kabhi jo mujhse bichhad gaya tu
phir mujhe tu beemaar kar dega

hosh mein vo kar hi nahin paaya
par nashe mein izhaar kar dega

kaam kurta khaadi na kar sake jo
kaam sab vo shalwaar kar dega

kaam jo chaukidaar karta nahin
kaam sab vo haqdaar kar dega

ab jabardasti se nahin hoga
har dafa jo bas pyaar kar dega

वो क़लम को तलवार कर देगा
जो बिका तो अख़बार कर देगा

वो सुख़न-वर है जो कभी रूठा
रूह पर सीधे वार कर देगा

अब कभी जो मुझसे बिछड़ गया तू
फिर मुझे तू बीमार कर देगा

होश में वो कर ही नहीं पाया
पर नशे में इज़हार कर देगा

काम कुर्ता खादी न कर सके जो
काम सब वो शलवार कर देगा

काम जो चौकीदार करता नहीं
काम सब वो हक़दार कर देगा

अब जबरदस्ती से नहीं होगा
हर दफ़ा जो बस प्यार कर देगा

- Manoj Devdutt
1 Like

War Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading War Shayari Shayari