koi deewaana agar koocha-e-jaan tak pahunchen
ain mumkin hai ke izhaar zubaan tak pahunchen
kahi se hoke kahi aur nikal jayega
mera paighaam muhabbat hai jahaan tak pahunchen
sajde mein sir ko jhuka kar main yahi sochta hoon
rooh ke saath ibadat bhi wahan tak pahunchen
itni aasaani se paai nahin manzil hamne
uska peecha kiya tab jaake yahan tak pahunchen
bazm mein maine hi awaaz uthaai hai magar
dekhna ye hai ke awaaz kahaan tak pahunchen
hamne ghurbat mein guzaara hai bahut waqt+apna
dheere-dheere hi faqiri se shahaan tak pahunchen
do rupaye dena na dena kisi ko apni salaah
chahta hoon main jo samjhaana wahan tak pahunchen
main to dahleez pe aa pahuncha hoon teri lekin
ab talak tum kyun nahin ghar se yahan tak pahunchen
कोई दीवाना अगर कूचा-ए-जाँ तक पहुँचे
ऐन मुमकिन है के इज़हार ज़ुबाँ तक पहुँचे
कहीं से होके कहीं और निकल जायेगा
मेरा पैग़ाम मुहब्बत है जहाँ तक पहुँचे
सजदे में सिर को झुका कर मैं यही सोचता हूँ
रूह के साथ इबादत भी वहाँ तक पहुँचे
इतनी आसानी से पाई नहीं मंजिल हमने
उसका पीछा किया तब जाके यहाँ तक पहुँचे
बज्म में मैंने ही आवाज़ उठाई है मगर
देखना ये है के आवाज़ कहाँ तक पहुँचे
हमने ग़ुरबत में ग़ुज़ारा है बहुत वक़्त+अपना
धीरे-धीरे ही फ़क़ीरी से शहाँ तक पहुँचे
दो रुपए देना न देना किसी को अपनी सलाह
चाहता हूँ मैं जो समझाना वहाँ तक पहुँचे
मैं तो दहलीज पे आ पहुँचा हूँ तेरी लेकीन
अब तलक तुम क्यूँ नहीं घर से यहाँ तक पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan mirza
our suggestion based on Amaan mirza
As you were reading Muflisi Shayari Shayari