huzoom-e-rahguzaar sii hai sukhun mein aur bacha kya hai | हुजूम-ए-रहगुज़र सी है सुख़न में और बचा क्या है

  - Vikas Shah musafir

huzoom-e-rahguzaar sii hai sukhun mein aur bacha kya hai
ayaan mein har taraf faila khayaala bhi sukhun sa hai

yahan bikta hai sab neele gulaabi peele noton se
bina laalach ke izzat hai ye logon ka dikhaava hai

haya karta hoon aurat kii yahi kamzori hai meri
isi ka ye zamaana faaeda poora uthaata hai

mujhe ab neend bhi aati hai gar to goliyaan kha kar
tabhi phir khwaab mein naagin ka chehra dikhne lagta hai

nahin karna nahin karna nahin karna muhabbat ab
muhabbat bhi hai vehshat hi jahaan nigraani karta hai

हुजूम-ए-रहगुज़र सी है सुख़न में और बचा क्या है
अयाँ में हर तरफ़ फैला ख़याला भी सुख़न सा है

यहाँ बिकता है सब नीले गुलाबी पीले नोटों से
बिना लालच के इज़्ज़त है ये लोगों का दिखावा है

हया करता हूँ औरत की यही कमज़ोरी है मेरी
इसी का ये ज़माना फ़ाएदा पूरा उठाता है

मुझे अब नींद भी आती है गर तो गोलियाँ खा कर
तभी फिर ख़्वाब में नागिन का चेहरा दिखने लगता है

नहीं करना नहीं करना नहीं करना मुहब्बत अब
मुहब्बत भी है वहशत ही जहाँ निगरानी करता है

  - Vikas Shah musafir

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari