kya gham hai muqaddar ka bata bhi nahin saktaa | क्या ग़म है मुक़द्दर का बता भी नहीं सकता

  - Vikas Shah musafir

kya gham hai muqaddar ka bata bhi nahin saktaa
aur hai jo muqaddar mein mita bhi nahin saktaa

dukhti nashon ka dard bhi padta hai chhupaana
duniya ko nazaara ye dikha bhi nahin saktaa

jo bhi hai sabab maut ka vo mujhko pata hai
so taar se main haath hata bhi nahin saktaa

ik arse se hain band sabhi raste mere so
main haath kahin apna badha bhi nahin saktaa

aaine mein vo dik raha mujhko mera dushman
goli hai magar us pe chala bhi nahin saktaa

क्या ग़म है मुक़द्दर का बता भी नहीं सकता
और है जो मुक़द्दर में मिटा भी नहीं सकता

दुखती नशों का दर्द भी पड़ता है छुपाना
दुनिया को नज़ारा ये दिखा भी नहीं सकता

जो भी है सबब मौत का वो मुझको पता है
सो तार से मैं हाथ हटा भी नहीं सकता

इक अरसे से हैं बंद सभी रस्ते मेरे सो
मैं हाथ कहीं अपना बढ़ा भी नहीं सकता

आईने में वो दिख रहा मुझको मेरा दुश्मन
गोली है मगर उस पे चला भी नहीं सकता

  - Vikas Shah musafir

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari