desh azaad hai par ab bhi salaamat nahin hai
desh mera hai magar meri shahaadat nahin hai
gham jahaan ko hai to logon kii khushi se hai bas
logon ko apni pareshaani se aafat nahin hai
baaz hi naapte toofaan mein falak ko yahan par
kaag ko aisi bulandi mile chaahat nahin hai
tu jo bhi kar raha hai saaf dikhaai de raha
meri in aankhon ko chashme kii zaroorat nahin hai
bhaagta main raha ik umr talak peechhe tere
pyaar tera na mile gar to bhi qillat nahin hai
saath hokar bhi na hone ke barabar thi vo
ab mile ya na mile mujhko shikaayat nahin hai
देश आज़ाद है पर अब भी सलामत नहीं है
देश मेरा है मगर मेरी शहादत नहीं है
ग़म जहाँ को है तो लोगों की ख़ुशी से है बस
लोगों को अपनी परेशानी से आफ़त नहीं है
बाज़ ही नापते तूफ़ाँ में फ़लक को यहाँ पर
काग को ऐसी बुलंदी मिले चाहत नहीं है
तू जो भी कर रहा है साफ़ दिखाई दे रहा
मेरी इन आँखों को चश्मे की ज़रूरत नहीं है
भागता मैं रहा इक उम्र तलक पीछे तेरे
प्यार तेरा न मिले गर तो भी क़िल्लत नहीं है
साथ होकर भी न होने के बराबर थी वो
अब मिले या न मिले मुझको शिकायत नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Duniya Shayari Shayari