main khamosh yun raha samay tha vo azaan ka | मैं ख़मोश यूँ रहा समय था वो अज़ान का

  - Vikas Shah musafir

main khamosh yun raha samay tha vo azaan ka
ek wajh aur thi tha waqt imtihaan ka

duniya aise shor kar rahi ke shorpa hoon main
aur ruk gaya hai jism se bahaav qaan ka

qarz baap ka bahut hai meri jaisi faslon pe
koii karz nain chuka sakega is lagaan ka

ye rukaavatein to aani hi hain ab hayaat mein
kyun ki mera waqt chal raha hai ab udaan ka

मैं ख़मोश यूँ रहा समय था वो अज़ान का
एक वज्ह और थी था वक़्त इम्तिहान का

दुनिया ऐसे शोर कर रही के शोरपा हूँ मैं
और रुक गया है जिस्म से बहाव क़ान का

क़र्ज़ बाप का बहुत है मेरी जैसी फ़स्लों पे
कोई कर्ज़ नइँ चुका सकेगा इस लगान का

ये रुकावटें तो आनी ही हैं अब हयात में
क्यों कि मेरा वक़्त चल रहा है अब उड़ान का

  - Vikas Shah musafir

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari