mere jeene ka sabab vo le gaya
vo khalish ik zehan ko phir de gaya
hijr hi mera bacha hai paas ab
khwaab saare vasl ke le ke gaya
jang jab bhi hoti tere naam pe
sabse pehle ladne main unse gaya
vaada karta tha qasam khaata tha jo
door mujhse haan wahi pehle gaya
tohfe mein maine jo paayal di use
phir main khan khan unki sunne se gaya
zindagi be-baaq hoti kyun nahin
karz mein dooba to aur lete gaya
apna sab kuchh chahta tha dena jo
phir wahi mujhse mera sab le gaya
मेरे जीने का सबब वो ले गया
वो ख़लिश इक ज़ेहन को फिर दे गया
हिज्र ही मेरा बचा है पास अब
ख़्वाब सारे वस्ल के ले के गया
जंग जब भी होती तेरे नाम पे
सबसे पहले लड़ने मैं उनसे गया
वादा करता था क़सम खाता था जो
दूर मुझसे हाँ वही पहले गया
तोहफ़े में मैंने जो पायल दी उसे
फिर मैं खन खन उनकी सुनने से गया
ज़िंदगी बे-बाक़ होती क्यों नहीं
कर्ज़ में डूबा तो और लेते गया
अपना सब कुछ चाहता था देना जो
फिर वही मुझसे मेरा सब ले गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Yaad Shayari Shayari