jo kaleje ke paar hote hain | जो कलेजे के पार होते हैं - Parvez Zaami

jo kaleje ke paar hote hain
vo azeezon ke vaar hote hain

log jo dil-figaar hote hain
khud-kushi ka shikaar hote hain

jin ki manzil gulaab hoti hai
un ki raahon mein khaar hote hain

jo mohabbat-shiaar hote hain
har-ghadi khush-gawaar hote hain

pyaar to ek baar hota hai
haadse baar-baar hote hain

pattharon ko khuda bana de jo
aise bhi dastaar hote hain

in faqeeron ke haal par mat ja
ye bade maaldaar hote hain

aankh hum apni band kar lenge
aap kyun sharm-saar hote hain

jo samjhte hain khud ko daanish-war
vo asal mein ganwaar hote hain

jin ko aati nahin adaakaari
hum to un mein shumaar hote hain

hum qalandar-mizaaj hain zaami
hum kanaat-shiaar hote hain

जो कलेजे के पार होते हैं
वो अज़ीज़ों के वार होते हैं

लोग जो दिल-फ़िगार होते हैं
ख़ुद-कुशी का शिकार होते हैं

जिन की मंज़िल गुलाब होती है
उन की राहों में ख़ार होते हैं

जो मोहब्बत-शिआर होते हैं
हर-घड़ी ख़ुश-गवार होते हैं

प्यार तो एक बार होता है
हादसे बार-बार होते हैं

पत्थरों को ख़ुदा बना दे जो
ऐसे भी दस्तकार होते हैं

इन फ़क़ीरों के हाल पर मत जा
ये बड़े मालदार होते हैं

आँख हम अपनी बंद कर लेंगे
आप क्यूँ शर्म-सार होते हैं

जो समझते हैं ख़ुद को दानिश-वर
वो असल में गँवार होते हैं

जिन को आती नहीं अदाकारी
हम तो उन में शुमार होते हैं

हम क़लंदर-मिज़ाज हैं 'ज़ामी'
हम कनाअत-शिआर होते हैं

- Parvez Zaami
3 Likes

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Zaami

As you were reading Shayari by Parvez Zaami

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Zaami

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari