bahut unche hue ab bas bikhrna hai
nadi dariya sabhi ko ab utarna hai
nahin tum thaam sakte waqt ki dori
kisi din waqt ko bhi to guzarna hai
fadakne lag rahi ab aankh rah rah kar
mera kissa yahin shaayad theharna hai
use milne bulaaya maut se pehle
use bhi aaj hi ke din sanwarna hai
hamesha saath ka vaada kiya tha par
hamein do chaar vaadon se mukarna hai
बहुत ऊंँचे हुए अब बस बिखरना है
नदी दरिया सभी को अब उतरना है
नहीं तुम थाम सकते वक़्त की डोरी
किसी दिन वक़्त को भी तो गुज़रना है
फड़कने लग रही अब आँख रह रह कर
मेरा किस्सा यहीं शायद ठहरना है
उसे मिलने बुलाया मौत से पहले
उसे भी आज ही के दिन सँवरना है
हमेशा साथ का वादा किया था पर
हमें दो चार वादों से मुकरना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Piyush Mishra 'Aab'
our suggestion based on Piyush Mishra 'Aab'
As you were reading Waqt Shayari Shayari