phool dil taqdeer mein aaye bahut
par hamein patthar ke man bhaaye bahut
raah ke kaanton se rakha raabta
paanv ke chaale bhi sharmaae bahut
naqsh dekhe roz uske ik wahi
aaina apne pe itraaye bahut
jaan lekar bhi sharaafat dekhiye
nuskhe vo jeene ke batlaaye bahut
jab tavakko hi nahin is zeest se
phir hamein duniya kyun samjhaaye bahut
फूल दिल तक़दीर में आए बहुत
पर हमें पत्थर के मन भाए बहुत
राह के काँटों से रक्खा राबता
पाँव के छाले भी शरमाए बहुत
नक़्श देखे रोज़ उसके इक वही
आइना अपने पे इतराए बहुत
जान लेकर भी शराफ़त देखिए
नुस्ख़े वो जीने के बतलाए बहुत
जब तवक़्क़ो ही नहीं इस ज़ीस्त से
फिर हमें दुनिया क्यूँ समझाए बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Beybaar
our suggestion based on Prashant Beybaar
As you were reading Phool Shayari Shayari