meri nazar milne lagi hain chhoti ladki se | मेरी नज़र मिलने लगी हैं छोटी लड़की से

  - Saahir

meri nazar milne lagi hain chhoti ladki se
umr bees ki ik bacchi jaisi ladki se

mujhko bhi sambhaal sake kuchh yun bhi maine
ishq kiya hai umr ki ek badi ladki se

ishq door hi rehta mujhse ik is zid mein ki
ishq karunga main gar to sacchi ladki se

sher likhe hain kiske liye nahin poocha dost
faayda hua ishq ka ye seedhi ladki se

jismbaaz kehne waale bata achhi ladki
rooh se ishq karunga us achhi ladki se

dushman hain dono ghar pushton se aur tumko
ishq hua bhi to hua dushman ki ladki se

ishq kiya tha ik anjaan se maine lekin
shaadi ki hai ik dekhi bhaali ladki se

मेरी नज़र मिलने लगी हैं छोटी लड़की से
उम्र बीस की इक बच्ची जैसी लड़की से

मुझको भी सम्भाल सके कुछ यूँ भी मैने
इश्क़ किया है उम्र की एक बड़ी लड़की से

इश्क़ दूर ही रहता मुझसे इक इस ज़िद में कि
इश्क़ करूँगा मैं ग़र तो सच्ची लड़की से

शेर लिखे हैं किसके लिए नहीं पूछा दोस्त
फायदा हुआ इश्क़ का ये सीधी लड़की से

जिस्मबाज़ कहने वाले बता अच्छी लड़की
रूह से इश्क़ करूँगा उस अच्छी लड़की से

दुश्मन हैं दोनों घर पुश्तों से और तुमको
इश्क़ हुआ भी तो हुआ दुश्मन की लड़की से

इश्क़ किया था इक अनजान से मैने लेकिन
शादी की है इक देखी भाली लड़की से

  - Saahir

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari