aankh mein moti daba kar so jaate hain | आँख में मोती दबा कर सो जाते हैं

  - Surendra Bhatia "Salil"

aankh mein moti daba kar so jaate hain
haath ka takiya bana kar so jaate hain

ghar se itni door maa kii yaadein liye
khud hi khud ko thapthapaa kar so jaate hain

khwaab chubhte hain to uthte hain chaunk kar
aur phir se kasmasa kar so jaate hain

sochte hain ham se to behtar hain shajar
jaagte hai lahlaha kar so jaate hain

subah hote bhaagte hain gham se pare
raat uske paas jaakar so jaate hain

आँख में मोती दबा कर सो जाते हैं
हाथ का तकिया बना कर सो जाते हैं

घर से इतनी दूर माँ की यादें लिए
ख़ुद ही ख़ुद को थपथपा कर सो जाते हैं

ख़्वाब चुभते हैं तो उठते हैं चौंक कर
और फिर से कसमसा कर सो जाते हैं

सोचते हैं हम से तो बेहतर हैं शजर
जागते है लहलहा कर सो जाते हैं

सुब्ह होते भागते हैं ग़म से परे
रात उसके पास जाकर सो जाते हैं

  - Surendra Bhatia "Salil"

More by Surendra Bhatia "Salil"

As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"

Similar Writers

our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari