aaj qalam ko urdu se tar kar loonga
nazm ko phir kaagaz ke dil mein bhar loonga
gaav mein purkhon ka vo bada ghar jo bik jaaye
shehar mein phir ja ke chhota sa ghar loonga
dil par taari hai us bacche ka rona
ab apne daaman mein us ko dhar loonga
apne badan kii qaid mein kab se hoon main band
bah jaaunga khud ko samandar kar loonga
mere ham-dam bebaki se kar le bahs
ho ilzaam koii main apne sar loonga
आज क़लम को उर्दू से तर कर लूँगा
नज़्म को फिर काग़ज़ के दिल में भर लूँगा
गाँव में पुरखों का वो बड़ा घर जो बिक जाए
शहर में फिर जा के छोटा सा घर लूँगा
दिल पर तारी है उस बच्चे का रोना
अब अपने दामन में उस को धर लूँगा
अपने बदन की क़ैद में कब से हूँ मैं बंद
बह जाऊँगा ख़ुद को समंदर कर लूँगा
मेरे हम-दम बेबाकी से कर ले बहस
हो इल्ज़ाम कोई मैं अपने सर लूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sanjay Bhat
our suggestion based on Sanjay Bhat
As you were reading Shehar Shayari Shayari