ik dost ne jo jaan bhi qurbaan kiya hai
aur saath hi jeena mera aasaan kiya hai
yaadon ne tiri mujhko pareshaan kiya hai
had se bhi ziyaada mera nuqsaan kiya hai
tum jaisa kisi ne bhi nahin chaaha hai hamko
so pyaar nahin tum ne to ehsaan kiya hai
hone se tire hota tha maahol khushi ka
hona na tira ghar mera veeraan kiya hai
kahte the jo anwar se nahin hoga magar ab
un sab ko mere kaam ne hairaan kiya hai
इक दोस्त ने जो जान भी क़ुर्बान किया है
और साथ ही जीना मिरा आसान किया है
यादों ने तिरी मुझको परेशान किया है
हद से भी ज़ियादा मिरा नुक़सान किया है
तुम जैसा किसी ने भी नहीं चाहा है हमको
सो प्यार नहीं तुम ने तो एहसान किया है
होने से तिरे होता था माहौल ख़ुशी का
होना न तिरा घर मिरा वीरान किया है
कहते थे जो अनवर से नहीं होगा मगर अब
उन सब को मिरे काम ने हैरान किया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHABAB ANWAR
our suggestion based on SHABAB ANWAR
As you were reading Dost Shayari Shayari