aaj apni jaan ke rukhsaar par ghazlein kahoon
yaani apne sabse pyaare yaar par ghazlein kahoon
jab tumhaara husn ban saka ho mauzoo-e-ghazal
to main phir kyun teer aur talwaar par ghazlein kahoon
kashmakash mein hoon musalsal tera chehra dekhkar
pehle lab par aankhon ya rukhsaar par ghazlein kahoon
teri marzi kya hai mujhko ai mere haakim bata
hijr pe ghazlein kahoon ya pyaar par ghazlein kahoon
tumne jo vaada kiya hai bose ka itwaar. ko
tum ijaazat do to us itwaar. par ghazlein kahoon
aaine ki tarah jaan-e-man tera kirdaar hai
dil mein aata hai tere kirdaar par ghazlein kahoon
आज अपनी जान के रुख़सार पर ग़ज़लें कहूँ
यानी अपने सबसे प्यारे यार पर ग़ज़लें कहूँ
जब तुम्हारा हुस्न बन सकता हो मौज़ू-ए-ग़ज़ल
तो मैं फिर क्यों तीर और तलवार पर ग़ज़लें कहूँ
कशमाकश में हूँ मुसलसल तेरा चेहरा देखकर।
पहले लब पर आँखो या रूख़सार पर ग़ज़लें कहूँ
तेरी मर्ज़ी क्या है मुझको ऐ मेरे हाकिम बता
हिज्र पे ग़ज़लें कहूँ या प्यार पर ग़ज़लें कहूँ
तुमने जो वादा किया है बोसे का इतवार को
तुम इजाज़त दो तो उस इतवार पर ग़ज़लें कहूँ
आईने की तरह जान-ए-मन तेरा किरदार है
दिल में आता है तेरे किरदार पर ग़ज़लें कहूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Hijrat Shayari Shayari