aapka faulaad sa gar hausla ho jaayega | आपका फ़ौलाद सा गर हौसला हो जाएगा - Shajar Abbas

aapka faulaad sa gar hausla ho jaayega
phir pahaadon mein samajh lo raasta ho jaayega

is mohabbat mein agar tu mubtila ho jaayega
pehle deewaana banega phir fana ho jaayega

dard-e-dil jab doston had se siva ho jaayega
kah gaye hain jaun-o-mirza ye dava ho jaayega

bewafaon ka agar jo tazkira ho jaayega
zakhm-e-dil yaaron mera phir se haraa ho jaayega

jab khuda ne saath dono ka likha hai maut tak
qais phir kis tarah leila se juda ho jaayega

do dilon ko jis bhi din duniya milaane lag gai
ishq ka us din mukammal silsila ho jaayega

mat sunaao tum mujhe yaaron kahaani ishq ki
phir se koi qais leila se juda ho jaayega

purkhtar raahen meri aasaan hoti jaayengi
haan agar vo shakhs mera rehnuma ho jaayega

ishq ka matlab faqat jismoon ki hogi aarzoo
haal ye ab aane waali naslon ka ho jaayega

chand daulat aate hi kamzarf logon ka miyaan
dekhiyega aap bhi shajra khara ho jaayega

jab khuda ki hogi rahmat to shajar tum dekhna
kaun kya tha kaun kya hai kaun kya ho jaayega

आपका फ़ौलाद सा गर हौसला हो जाएगा
फिर पहाड़ों में समझ लो रास्ता हो जाएगा

इस मोहब्बत में अगर तू मुब्तिला हो जाएगा
पहले दीवाना बनेगा फिर फ़ना हो जाएगा

दर्द-ए-दिल जब दोस्तों हद से सिवा हो जाएगा
कह गए हैं जौन-ओ-मिर्ज़ा ये दवा हो जाएगा

बेवफ़ाओं का अगर जो तज़्किरा हो जाएगा
ज़ख़्म-ए-दिल यारों मेरा फिर से हरा हो जाएगा

जब ख़ुदा ने साथ दोनों का लिखा है मौत तक
क़ैस फिर किस तरह लैला से जुदा हो जाएगा

दो दिलों को जिस भी दिन दुनिया मिलाने लग गई
इश्क़ का उस दिन मुकम्मल सिलसिला हो जाएगा

मत सुनाओ तुम मुझे यारों कहानी इश्क़ की
फिर से कोई क़ैस लैला से जुदा हो जाएगा

पुरख़तर राहें मेरी आसान होती जाएँगी
हाँ अगर वो शख़्स मेरा रहनुमा हो जाएगा

इश्क़ का मतलब फ़क़त जिस्मों की होगी आरज़ू
हाल ये अब आने वाली नस्लों का हो जाएगा

चंद दौलत आते ही कमज़र्फ लोगों का मियाँ
देखिएगा आप भी शजरा खरा हो जाएगा

जब ख़ुदा की होगी रहमत तो शजर तुम देखना
कौन क्या था कौन क्या है कौन क्या हो जाएगा

- Shajar Abbas
1 Like

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari