be-khauf raah-e-haq pe guzar jaana chahiye
gar chahiye hayaat to mar jaana chahiye
dekha tumhein to zehan mein aaya mere khayal
aankhon ke raaste dil mein utar jaana chahiye
dastak ye dil ke dar pe muhabbat ne di utho
koo-e-sanam mein ahl-e-sehar jaana chahiye
titli ye boli choom ke gulshan mein phool ko
chooma hai maine tujhko bikhar jaana chahiye
main khud ko dekhta hoon haseen aankhon mein tiri
ab husn mera aur nikhar jaana chahiye
ik simt mein qaza hai to ik simt zindagi
main soch mein hoon mujhko kidhar jaana chahiye
ghairat ye kah rahi hai meri cheekh cheekhkar
dastaar koi cheene to sar jaana chahiye
laazim hai us pe aa ke kare ishq ka sawaal
laazim hai mujh pe mujhko mukar jaana chahiye
shaana hila ke roz ye kehta hai mera qais
arsa hua ab aapko ghar jaana chahiye
hanskar kisi ne ham se kaha aaj se shajar
gham ka libaas dil se utar jaana chahiye
बे-ख़ौफ़ राह-ए-हक़ पे गुज़र जाना चाहिए
गर चाहिए हयात तो मर जाना चाहिए
देखा तुम्हें तो ज़ेहन में आया मिरे ख़याल
आँखों के रस्ते दिल में उतर जाना चाहिए
दस्तक ये दिल के दर पे मुहब्बत ने दी उठो
कू-ए-सनम में अहल-ए-सहर जाना चाहिए
तितली ये बोली चूम के गुलशन में फूल को
चूमा है मैंने तुझको बिखर जाना चाहिए
मैं ख़ुद को देखता हूँ हसीं आँखों में तिरी
अब हुस्न मेरा और निखर जाना चाहिए
इक सिम्त में क़ज़ा है तो इक सिम्त ज़िंदगी
मैं सोच में हूँ मुझको किधर जाना चाहिए
ग़ैरत ये कह रही है मिरी चीख़ चीख़कर
दस्तार कोई छीने तो सर जाना चाहिए
लाज़िम है उस पे आ के करे इश्क़ का सवाल
लाज़िम है मुझ पे मुझको मुकर जाना चाहिए
शाना हिला के रोज़ ये कहता है मेरा क़ैस
अरसा हुआ अब आपको घर जाना चाहिए
हँसकर किसी ने हम से कहा आज से शजर
ग़म का लिबास दिल से उतर जाना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Nature Shayari Shayari