ham ne tab se hayaat paai hai | हम ने तब से हयात पाई है

  - Shajar Abbas

ham ne tab se hayaat paai hai
jab se tujh par ye jaan lutaai hai

ye badan ab se pehle laashaa tha
aap aaye to jaan aayi hai

khatm hone ka naam leti nain
ye muhabbat ajab padhaai hai

dil pe kyun nai chale mere khanjar
sooni sooni tiri kalaaee hai

mukhtasar ye hai vo jo banda hai
meri aankhon kii roshnai hai

yaar tashreef laane waale hain
hamne bazm-e-tarab sajaai hai

uske maathe pe taaj rakkha hai
uski tasveer jab banaai hai

qalb-e-muztar mein beqaraari hai
usne jab se sada lagaaee hai

ye nasha umr bhar na utarega
usne aankhon se may pilaai hai

qais aise nahin bane hain ham
hamne sehra kii khaak udaai hai

main parinda hoon qaid khaane ka
meri qismat mein kab rihaai hai

hazrat-e-dil hain masnad-e-gham par
ye lab-e-chashm mein duhaai hai

haq ko be khauf haq main kehta hoon
mujh mein bas ek ye buraai hai

kis se shikwa karein zamaane mein
be wafaai hi be wafaai hai

raqs karna hi be hayaai nain
be ridaai bhi be hayaai hai

ye udaasi ye ranj ye aansu
umr bhar kii mere kamaai hai

maqsad-e-karbala bhula dena
saath bujhaakar ke be wafaai hai

uski aankhen kabhi na nam hovein
neend jisne meri churaai hai

हम ने तब से हयात पाई है
जब से तुझ पर ये जाँ लुटाई है

ये बदन अब से पहले लाशा था
आप आए तो जान आई है

ख़त्म होने का नाम लेती नइँ
ये मुहब्बत अजब पढ़ाई है

दिल पे क्यों नईं चले मिरे ख़ंजर
सूनी सूनी तिरी कलाई है

मुख़्तसर ये है वो जो बंदा है
मेरी आँखों की रौशनाई है

यार तशरीफ़ लाने वाले हैं
हमने बज़्म-ए-तरब सजाई है

उसके माथे पे ताज रक्खा है
उसकी तस्वीर जब बनाई है

क़ल्ब-ए-मुज़्तर में बेक़रारी है
उसने जब से सदा लगाई है

ये नशा उम्र भर न उतरेगा
उसने आँखों से मय पिलाई है

क़ैस ऐसे नहीं बने हैं हम
हमने सहरा की ख़ाक उड़ाई है

मैं परिंदा हूँ क़ैद ख़ाने का
मेरी क़िस्मत में कब रिहाई है

हज़रत-ए-दिल हैं मसनद-ए-ग़म पर
ये लब-ए-चश्म में दुहाई है

हक़ को बे ख़ौफ़ हक़ मैं कहता हूँ
मुझ में बस एक ये बुराई है

किस से शिकवा करें ज़माने में
बे वफ़ाई ही बे वफ़ाई है

रक़्स करना ही बे हयाई नइँ
बे रिदाई भी बे हयाई है

ये उदासी ये रंज ये आँसू
उम्र भर की मिरे कमाई है

मक़सद-ए-करबला भुला देना
साथ सरवर के बे वफ़ाई है

उसकी आँखें कभी न नम होवें
नींद जिसने मिरी चुराई है

  - Shajar Abbas

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari