jaane ye kiski duaon mein asar aaya hai | जाने ये किसकी दुआओं में असर आया है

  - Shajar Abbas

jaane ye kiski duaon mein asar aaya hai
dil ki basti mein mohabbat ka shajar aaya hai

aaj ik shakhs ne taqleed-e-mohabbat kar li
leke qaasid mere gaav mein khabar aaya hai

imtehaan ishq ka dene ke liye ik aashiq
maqtal-e-ishq mein be-khauf-o-khatr aaya hai

khaak chaani hain sar-e-raah mein seharaaon ki
tab kahi ja ke ye leila ka nagar aaya hai

maine jab likkha shajar naam mataa-e-jaan ka
naam mein chaar dafa zer-o-zabar aaya hai

जाने ये किसकी दुआओं में असर आया है
दिल की बस्ती में मोहब्बत का शजर आया है

आज इक शख़्स ने तक़लीद-ए-मोहब्बत कर ली
लेके क़ासिद मेरे गाँव में ख़बर आया है

इम्तेहाँ इश्क़ का देने के लिए इक आशिक़
मक़तल-ए-इश्क़ में बे-ख़ौफ़-ओ-ख़तर आया है

ख़ाक छानी हैं सर-ए-राह में सहराओं की
तब कहीं जा के ये लैला का नगर आया है

मैंने जब लिक्खा शजर नाम मता-ए-जाँ का
नाम में चार दफ़ा ज़ेर-ओ-ज़बर आया है

  - Shajar Abbas

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari