ye kehna lagta hai mujhko bada ajeeb shajar | ये कहना लगता है मुझको बड़ा अजीब शजर

  - Shajar Abbas

ye kehna lagta hai mujhko bada ajeeb shajar
palat ke aayega ik din mera habeeb shajar

tadap ke dard-e-mohabbat se dam ko tod diya
ilaaj kar nahin paaye mera tabeeb shajar

kal aa ke khwaab mein mujhse kaha ye ghalib ne
tum ek roz banoge bade adeeb shajar

gale laga ke mujhe apne usne mujhse kaha
nahin hain tum sa jahaan mein koi najeeb shajar

na kar khudaara taqaabul tu yaar dono ka
kahaan ameer-e-shahr aur kahaan gareeb shajar

kisi ke saath mein hokar bhi khush nahin hoon main
ajeeb mod pe le aaya hai naseeb shajar

koi to ho jo mera haal dekhkar bole
ye kaisa haal bana rakha hai ajeeb shajar

jo shakhs door hai meelon meri nigaahon se
vo shakhs tha kabhi shah rag se bhi qareeb shajar

raqeeb pehle nahin ho tum uske yaar suno
the tumse pehle bhi uske kai raqeeb shajar

malaal hota hai apne watan se door ho tum
tumhaare jaisa na ho koi bad naseeb shajar

ये कहना लगता है मुझको बड़ा अजीब शजर
पलट के आएगा इक दिन मेरा हबीब शजर

तड़प के दर्द-ए-मोहब्बत से दम को तोड़ दिया
इलाज कर नहीं पाये मेरा तबीब शजर

कल आ के ख़्वाब में मुझसे कहा ये ग़ालिब ने
तुम एक रोज़ बनोगे बड़े अदीब शजर

गले लगा के मुझे अपने उसने मुझसे कहा
नहीं हैं तुम सा जहाँ में कोई नजीब शजर

ना कर ख़ुदारा तक़ाबुल तू यार दोनों का
कहाँ अमीर-ए-शहर और कहाँ गरीब शजर

किसी के साथ में होकर भी ख़ुश नहीं हूँ मैं
अजीब मोड़ पे ले आया है नसीब शजर

कोई तो हो जो मेरा हाल देखकर बोले
ये कैसा हाल बना रक्खा है अजीब शजर

जो शख़्स दूर है मीलों मेरी निगाहों से
वो शख़्स था कभी शह रग से भी क़रीब शजर

रक़ीब पहले नहीं हो तुम उसके यार सुनो
थे तुमसे पहले भी उसके कई रक़ीब शजर

मलाल होता है अपने वतन से दूर हो तुम
तुम्हारे जैसा न हो कोई बद नसीब शजर

  - Shajar Abbas

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari