jab se usne dafn kii hain nekiyaan deewaar mein | जब से उसने दफ़्न की हैं नेकियाँ दीवार में

  - Shajar Abbas

jab se usne dafn kii hain nekiyaan deewaar mein
dhoondhta hoon tab se har pal khoobiyaan deewaar mein

bas gai hain aan kar kuchh cheentiyan deewaar mein
rakh raha hoon is liye main rotiyaan deewaar mein

aaj tak badla nahin duniya ne maazi ka rivaaj
ab bhi chunwaate hain zalim betiyaan deewaar mein

dhaa diya deewaar ko maine isi ik aas par
kya pata mil jaayen teri chitthiyan deewaar mein

ran ke andar sabr ke jalte diyon ko dekhkar
maarti hain sar sitam kii aandhiyaan deewaar mein

janmdin par usko jo tohfe mein di thi choodiyaan
todakar usne vo gaadhi choodiyaan deewaar mein

munhdim deewar-e-dil ko kar ke bolin be-wafa
ab nahin aayengi suniye jhurriyaan deewaar mein

baadshaahon par khuda kii laanaten hon be shumaar
muflison kii chun rahe hain haddiyaan deewaar mein

jis ka dam ghutta ho duniya kii hawa mein doston
kis liye banvaayega vo khidkiyaan deewaar mein

guftugoo karti hain yun gandum pe baithi cheetiyaan
kijie aabaad chalkar bastiyaan deewaar mein

kaanp utha dil zameen ka chhaa gaeein veeraaniyaan
jab hui paivast gham kii bijliyaan deewaar mein

ik tabassum aa gaya shaakh-e-shajar pe dafatan
ghar banaane lag gaeein jab pattiyaan deewaar mein

जब से उसने दफ़्न की हैं नेकियाँ दीवार में
ढूँढता हूँ तब से हर पल ख़ूबियाँ दीवार में

बस गई हैं आन कर कुछ चींटियाँ दीवार में
रख रहा हूँ इस लिए मैं रोटियाँ दीवार में

आज तक बदला नहीं दुनिया ने माज़ी का रिवाज
अब भी चुनवाते हैं ज़ालिम बेटियाँ दीवार में

ढा दिया दीवार को मैंने इसी इक आस पर
क्या पता मिल जाएँ तेरी चिट्ठियाँ दीवार में

रन के अन्दर सब्र के जलते दियों को देखकर
मारती हैं सर सितम की आँधियाँ दीवार में

जन्मदिन पर उसको जो तोहफ़े में दी थी चूड़ियाँ
तोड़कर उसने वो गाढ़ी चूड़ियाँ दीवार में

मुंहदिम दीवार-ए-दिल को कर के बोलीं बे-वफ़ा
अब नहीं आएँगी सुनिए झुर्रियाँ दीवार में

बादशाहों पर ख़ुदा की लानतें हों बे शुमार
मुफ़्लिसों की चुन रहे हैं हड्डियाँ दीवार में

जिस का दम घुटता हो दुनिया की हवा में दोस्तों
किस लिए बनवाएगा वो खिड़कियाँ दीवार में

गुफ़्तुगू करती हैं यूँ गंदुम पे बैठी चीटियाँ
कीजिए आबाद चलकर बस्तियाँ दीवार में

काँप उट्ठा दिल ज़मीं का छा गईं वीरानियाँ
जब हुईं पैवस्त ग़म की बिजलियाँ दीवार में

इक तबस्सुम आ गया शाख़-ए-शजर पे दफ़अतन
घर बनाने लग गईं जब पत्तियाँ दीवार में

  - Shajar Abbas

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari