kisne hamein ye khat mein likha khairiyat se ho
ye kaun poochta hai bata khairiyat se ho
meri hayaat-o-qalb meri saltanat khuda
main maangata hoon tujhse dua khairiyat se ho
khat ke jawaab mein likha main khairiyat se hoon
apna batao kyoon khairiyat se ho
gham us ghadi main bhool gaya saare doston
jab usne mujhse aake kaha khairiyat se ho
ye kaun maangata hai dua roz ehl-e-subh
mera shajar jahaan ho khuda khairiyat se ho
किसने हमें ये ख़त में लिखा ख़ैरियत से हो
ये कौन पूछता है बता ख़ैरियत से हो
मेरी हयात-ओ-क़ल्ब मेरी सल्तनत ख़ुदा
मैं माँगता हूँ तुझसे दुआ ख़ैरियत से हो
ख़त के जवाब में लिखा मैं ख़ैरियत से हूँ
अपना बताओ जान-ए-वफ़ा ख़ैरियत से हो
ग़म उस घड़ी मैं भूल गया सारे दोस्तों
जब उसने मुझसे आके कहा ख़ैरियत से हो
ये कौन माँगता है दुआ रोज़ एहल-ए-सुब्ह
मेरा शजर जहाँ हो ख़ुदा ख़ैरियत से हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Khat Shayari Shayari