mujhe is baat ka gham ho raha hai
kisi ki yaad mein vo ro raha hai
dil-e-marhoom ka saalon se murshid
badan dekho janaaza dho raha hai
kahi khushiyaan hain vasl-e-yaar ki to
kahi furqat ka maatam ho raha hai
mujhe bechainiyaan tohfe mein dekar
koi chain-o-sukoon se so raha hai
shajar honthon pe hai mere tabassum
magar dil andar andar ro raha hai
मुझे इस बात का ग़म हो रहा है
किसी की याद में वो रो रहा है
दिल-ए-मरहूम का सालों से मुर्शिद
बदन देखो जनाज़ा ढो रहा है
कहीं खुशियाँ हैं वस्ल-ए-यार की तो
कहीं फ़ुर्क़त का मातम हो रहा है
मुझे बेचैनीयाँ तोहफ़े में देकर
कोई चैन-ओ-सुकूँ से सो रहा है
शजर होंठों पे है मेरे तबस्सुम
मगर दिल अन्दर अन्दर रो रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Rahbar Shayari Shayari