na ujde aise kisi ka mere khuda gulshan | न उजड़े ऐसे किसी का मेरे ख़ुदा गुलशन - Shajar Abbas

na ujde aise kisi ka mere khuda gulshan
ke jaise ujda hai mera haraa bhara gulshan

bayaan kar ke janaaze pe ro raha hai koi
tumhaare hone se aabaad tha mera gulshan

udaas kaliyaan hui titliyon ne hijrat ki
le misl-e-dasht-e-junoon ho gaya saba gulshan

chaman mein karti nahin titliyan gulon ka tawaaf
khizaan ne loot liya kibriyaa haraa gulshan

shajar ki chaanv shajar par samar shajar na raha
tamaam ho gaya ik raat mein fana gulshan

न उजड़े ऐसे किसी का मेरे ख़ुदा गुलशन
के जैसे उजड़ा है मेरा हरा भरा गुलशन

बयान कर के जनाज़े पे रो रहा है कोई
तुम्हारे होने से आबाद था मेरा गुलशन

उदास कलियाँ हुईं तितलियों ने हिजरत की
ले मिस्ल-ए-दश्त-ए-जुनूँ हो गया सबा गुलशन

चमन में करती नहीं तितलियाँ गुलों का तवाफ़
ख़िज़ाँ ने लूट लिया किब्रिया हरा गुलशन

शजर की छाँव शजर पर समर शजर ना रहा
तमाम हो गया इक रात में फ़ना गुलशन

- Shajar Abbas
0 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari