naghma-e-shauq sa honthon pe saja le mujhko | नग़्मा-ए-शौक़ सा होंठों पे सजा ले मुझको

  - Shajar Abbas

naghma-e-shauq sa honthon pe saja le mujhko
roz-o-shab-shaam-o-seher jaan-e-jaan ga le mujhko

maqtal-e-ishq mein hai nauha kunaan qalb-e-hazeen
lag gaye teer-o-tabar-khanjar-o-bhaale mujhko

khaar-e-aqrab ki tarah aankhon mein chubhta hai jahaan
ai zameen bahr-e-khuda khud mein samaa le mujhko

dekh le barson se main tujhse khafa baitha hoon
hai qaza mujhse mohabbat to manaa le mujhko

misl-e-yusuf mere maabood hoon main mahv-e-dua
daur-e-haazir ki zulekha se bacha le mujhko

baa khuda zeenat-e-duniya nahin hona hai mujhe
ai qaza zeenat-e-aaghosh bana le mujhko

raah-e-gum-karda ki soon badhne lage mere qadam
qibla-e-duniya-o-deen aa ke bacha le mujhko

waqt pe roz inhen deta hoon main aab-o-giza
roz dete hain dua paanv ke chaale mujhko

god khushiyon ke samar se teri bhar daaloonga
ai bashar qalb ke aangan mein laga le mujhko

main teri eed hoon holi hoon main diwali hoon
kyun yahan baitha hai tu ja ke manaa le mujhko

qalb-e-muztar ke dareeche se gira hoon main tere
maalik-e-husn-e-sheher aa ke utha le mujhko

jism ki qaid mein ghutta hai shajar dam mera
jism ki qaid se koi to nikale mujhko

नग़्मा-ए-शौक़ सा होंठों पे सजा ले मुझको
रोज़-ओ-शब-शाम-ओ-सहर जान-ए-जाँ गा ले मुझको

मक़तल-ए-इश्क़ में है नौहा कुनाँ क़ल्ब-ए-हज़ीं
लग गए तीर-ओ-तबर-खंजर-ओ-भाले मुझको

ख़ार-ए-अक़रब की तरह आँखों में चुभता है जहाँ
ऐ ज़मीं बहर-ए-ख़ुदा ख़ुद में समा ले मुझको

देख ले बरसों से मैं तुझसे ख़फ़ा बैठा हूँ
है क़ज़ा मुझसे मोहब्बत तो मना ले मुझको

मिस्ल-ए-युसूफ़ मेरे माबूद हूँ मैं महव-ए-दुआ
दौर-ए-हाज़िर की ज़ुलेख़ा से बचा ले मुझको

बा ख़ुदा ज़ीनत-ए-दुनिया नहीं होना है मुझे
ऐ क़ज़ा ज़ीनत-ए-आग़ोश बना ले मुझको

राह-ए-गुम-कर्दा की सूँ बढ़ने लगे मेरे क़दम
क़िबला-ए-दुनिया-ओ-दीं आ के बचा ले मुझको

वक़्त पे रोज़ इन्हें देता हूँ मैं आब-ओ-गिज़ा
रोज़ देते हैं दुआ पाँव के छाले मुझको

गोद ख़ुशियों के समर से तेरी भर डालूँगा
ऐ बशर क़ल्ब के आँगन में लगा ले मुझको

मैं तेरी ईद हूँ होली हूँ मैं दीवाली हूँ
क्यूँ यहाँ बैठा है तू जा के मना ले मुझको

क़ल्ब-ए-मुज़्तर के दरीचें से गिरा हूँ मैं तेरे
मालिक-ए-हुस्न-ए-शहर आ के उठा ले मुझको

जिस्म की क़ैद में घुटता है शजर दम मेरा
जिस्म की क़ैद से कोई तो निकाले मुझको

  - Shajar Abbas

Diwali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Diwali Shayari Shayari