siyaah kapde kiye zeb-e-tan haseen bashar
tire labon ka tabassum sukoon-e-qalb-e-shajar
siyaah kapde tumhein yun bara-e-tohfa diye
lage na bar sar-e-mahfil tumhein kisi ki nazar
sawaal pooche koi gar ho kaun tum mere
kahoon ho aankhon ki beenaai tum ho lakht-e-jigar
use samjhte hain ham kor-chashm eed ka din
pade hai chehra-e-anwar pe jab tumhaari nazar
lahu luhaan hui aankhen dil udaas hua
tire baghair tasavvur kiya jo azm-e-safar
सियाह कपड़े किये ज़ेब-ए-तन हसीन बशर
तिरे लबों का तबस्सुम सुकून-ए-क़ल्ब-ए-शजर
सियाह कपड़े तुम्हें यूँ बरा-ए-तोहफ़ा दिए
लगे न बर सर-ए-महफ़िल तुम्हें किसी की नज़र
सवाल पूछे कोई गर हो कौन तुम मेरे
कहूँ हो आँखों की बीनाई तुम हो लख़्त-ए-जिगर
उसे समझते हैं हम कोर-चश्म ईद का दिन
पड़े है चेहरा-ए-अनवर पे जब तुम्हारी नज़र
लहू लुहान हुईं आँखें दिल उदास हुआ
तिरे बग़ैर तसव्वुर किया जो अज़्म-ए-सफ़र
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Bekhayali Shayari Shayari