uska maqsad hai kahin aag lagaaee jaaye | उसका मक़सद है कहीं आग लगाई जाए

  - Shajar Abbas

uska maqsad hai kahin aag lagaaee jaaye
mera maqsad hai lagi aag bujhaai jaaye

baat ye soch ke bechain hain baatil har dam
haq kii awaaz ye ab kaise dabaai jaaye

ik zamaane se pareshaan hoon bolo dil kii
kab talak seene mein aur laash chhupaai jaaye

jheel sii aankhen tiri dekh ke dil kehta hai
teri aankhon se tiri neend churaai jaaye

chashm ke dil pe shajar khoon-e-jigar se teri
raat bhar jaag ke tasveer banaai jaaye

उसका मक़सद है कहीं आग लगाई जाए
मेरा मक़सद है लगी आग बुझाई जाए

बात ये सोच के बेचैन हैं बातिल हर दम
हक़ की आवाज़ ये अब कैसे दबाई जाए

इक ज़माने से परेशान हूँ बोलो दिल की
कब तलक सीने में और लाश छुपाई जाए

झील सी आँखें तिरी देख के दिल कहता है
तेरी आँखों से तिरी नींद चुराई जाए

चश्म के दिल पे शजर ख़ून-ए-जिगर से तेरी
रात भर जाग के तस्वीर बनाई जाए

  - Shajar Abbas

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari