zamaane waalon se door rahna zamaana khud ko badal raha hai
wafa saqaafat haya nidaamat ka shams be waqt dhal raha hai
hamaari aankhon ke dar pe shabnam ke chand qatre thehar gaye hain
har ek qatra chaman ke andar malaal bhanware ko khal raha hai
kisi kii yaadein charaagh bankar hamaari palkon pe jal rahi hain
badan kisi ka gulaab jaisa diye kii lau se pighal raha hai
har ek raste ko yun sajaao gulaab daalo bichao palkein
saba ne aakar khabar sunaai ki chaand ghar se nikal raha hai
tumhaari aankhon ke maykade par shajar kii jab se nazar padi hai
kabhi shajar ladkhada raha hai kabhi shajar khud sambhal raha hai
ज़माने वालों से दूर रहना ज़माना ख़ुद को बदल रहा है
वफ़ा सक़ाफ़त हया निदामत का शम्स बे वक़्त ढल रहा है
हमारी आँखों के दर पे शबनम के चंद क़तरे ठहर गए हैं
हर एक क़तरा चमन के अन्दर मलाल भँवरे को खल रहा है
किसी की यादें चराग़ बनकर हमारी पलकों पे जल रही हैं
बदन किसी का गुलाब जैसा दिए की लौ से पिघल रहा है
हर एक रस्ते को यूँ सजाओ गुलाब डालो बिछाओ पलकें
सबा ने आकर ख़बर सुनाई कि चाँद घर से निकल रहा है
तुम्हारी आँखों के मयकदे पर शजर की जब से नज़र पड़ी है
कभी शजर लड़खड़ा रहा है कभी शजर ख़ुद सँभल रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Naqab Shayari Shayari