jab kisi ki vo muhabbat mein pighal jaayega
ishq mein chot kabhi kha ke sambhal jaayega
vo ishaara nahin karta hai magar ye tay hai
kuchh dinon baad mere dil se nikal jaayega
be-wafai ke tujhe qisse suna doonga to
phir mere yaar tira dil ye dahal jaayega
main badha saka nahin paanv muhabbat mein ab
kyonki aage ye badhaate hi fisal jaayega
husn waalon pe bharosa na karo tum daanish
jaane kab kaun saleeqe se badal jaayega
जब किसी की वो मुहब्बत में पिघल जाएगा
इश्क़ में चोट कभी खा के सँभल जाएगा
वो इशारा नहीं करता है मगर ये तय है
कुछ दिनों बाद मिरे दिल से निकल जाएगा
बे-वफ़ाई के तुझे क़िस्से सुना दूँगा तो
फिर मिरे यार तिरा दिल ये दहल जाएगा
मैं बढ़ा सकता नहीं पाँव मुहब्बत में अब
क्योंकि आगे ये बढ़ाते ही फिसल जाएगा
हुस्न वालों पे भरोसा न करो तुम 'दानिश'
जाने कब कौन सलीक़े से बदल जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Friendship Shayari Shayari