hansaati aur rulaati hain udaasi aur tanhaai
mujhe ab raas aati hain udaasi aur tanhaai
main to dam ghot doon seene pe rakhkar eent saaye ka
magar aankhen dikhaati hain udaasi aur tanhaai
kabhi gar chashm-e-dil ko dekhni ho ye nashaat-e-dahr
to kaandhe par uthaati hain udaasi aur tanhaai
ye jaam-e-ashk peekar ranj-o-gham ko phoonk kar goya
dhuen se dil banaati hain udaasi aur tanhaai
musalsal kheench kar yun mehfil-e-gham par kamaan-e-lab
mujhe jabran hansaati hain udaasi aur tanhaai
udaati aur milaati rang-e-dil pe rang-e-taareeki
yahan holi manaati hain udaasi aur tanhaai
mohabbat aur naakaami ka rishta aisa hai in se
behn kahkar bulaati hain udaasi aur tanhaai
हँसाती और रुलाती हैं उदासी और तन्हाई
मुझे अब रास आती हैं उदासी और तन्हाई
मैं तो दम घोट दूँ सीने पे रखकर ईंट साए का
मगर आँखें दिखाती हैं उदासी और तन्हाई
कभी गर चश्म-ए-दिल को देखनी हो ये नशात-ए-दहर
तो काँधे पर उठाती हैं उदासी और तन्हाई
ये जाम-ए-अश्क पीकर रंज-ओ-ग़म को फूँक कर गोया
धुएँ से दिल बनाती हैं उदासी और तन्हाई
मुसलसल खींच कर यूँ महफ़िल-ए-ग़म पर कमान-ए-लब
मुझे जबरन हँसाती हैं उदासी और तन्हाई
उड़ाती और मिलाती रंग-ए-दिल पे रंग-ए-तारीकी
यहाँ होली मनाती हैं उदासी और तन्हाई
मोहब्बत और नाकामी का रिश्ता ऐसा है इन से
बहन कहकर बुलाती हैं उदासी और तन्हाई
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading undefined Shayari