haath jab apna lagaane lag gaye | हाथ जब अपना लगाने लग गए

  - komal selacoti

haath jab apna lagaane lag gaye
haath se sab kuchh ganwaane lag gaye

kar raha tha main buraai apni jab
log haan mein haan milaane lag gaye

munh banaaye jab tu bacche sab hanse
jab main dekhoon munh banaane lag gaye

haath rakkha hai ghamon ne aankh par
naam tera par bataane lag gaye

taangni thi jab tiri tasveer ik
keel chaati mein garane lag gaye

hai hunar ye laash andar jab jali
ham dhuaan munh se udaane lag gaye

हाथ जब अपना लगाने लग गए
हाथ से सब कुछ गॅंवाने लग गए

कर रहा था मैं बुराई अपनी जब
लोग हाँ में हाँ मिलाने लग गए

मुँह बनाए जब तू बच्चे सब हँसे
जब मैं देखूँ मुँह बनाने लग गए

हाथ रक्खा है ग़मों ने आँख पर
नाम तेरा पर बताने लग गए

टाँगनी थी जब तिरी तस्वीर इक
कील छाती में गड़ाने लग गए

है हुनर ये लाश अंदर जब जली
हम धुआँ मुँह से उड़ाने लग गए

  - komal selacoti

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by komal selacoti

As you were reading Shayari by komal selacoti

Similar Writers

our suggestion based on komal selacoti

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari