haare hue ik aadmi kii baat hai
har sher mein bas khudkushi kii baat hai
tum poochhte ho haal kaisa hai mera
haan theek hoon bas bebasi kii baat hai
jo baatein thi bas tere mere beech mein
ab hans rahe hain sab hasi kii baat hai
pal pal bhulaane mein zamaane lag gaye
pal pal mein lagta hai abhi kii baat hai
hamne to maani hi nahin qismat kabhi
ye bhi badi bad-qismati kii baat hai
us raushni ko dekh kar andhe hue
jis raushni mein teergi kii baat hai
हारे हुए इक आदमी की बात है
हर शेर में बस ख़ुदकुशी की बात है
तुम पूछते हो हाल कैसा है मिरा
हाँ ठीक हूँ बस बेबसी की बात है
जो बातें थी बस तेरे मेरे बीच में
अब हँस रहे हैं सब हँसी की बात है
पल पल भुलाने में ज़माने लग गए
पल पल में लगता है अभी की बात है
हमने तो मानी ही नहीं क़िस्मत कभी
ये भी बड़ी बद-क़िस्मती की बात है
उस रौशनी को देख कर अंधे हुए
जिस रौशनी में तीरगी की बात है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Raat Shayari Shayari