pyaar ka bas ik ishaara hi mile
doob jaaunga agar machhli mile
umr qaaidi ishq ka hoon par mujhe
uski baanhon se abhi faansi mile
bhaag jaata door kab ka ishq se
gar kafs mein ek bhi khidki mile
shaam aankhen ho thaki aur vo dikhe
muflisi ho rotiyon par ghee mile
khol doon saara badan uska agar
is tijori kii mujhe chaabi mile
haath rakh dil par bhale chhoo mat kahin
kaam par rakh salary kuchh bhi mile
प्यार का बस इक इशारा ही मिले
डूब जाऊँगा अगर मछली मिले
उम्र क़ैदी इश्क़ का हूँ पर मुझे
उसकी बाँहों से अभी फाँसी मिले
भाग जाता दूर कब का इश्क़ से
गर कफ़स में एक भी खिड़की मिले
शाम आँखें हो थकी और वो दिखे
मुफ़्लिसी हो रोटियों पर घी मिले
खोल दूँ सारा बदन उसका अगर
इस तिजोरी की मुझे चाबी मिले
हाथ रख दिल पर भले छू मत कहीं
काम पर रख सैलरी कुछ भी मिले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Budhapa Shayari Shayari