ye mere gham ka asar lagta hai
bin mere hi bhara ghar lagta hai
chhat giregi kisi din mere sar
ye hua hi na magar lagta hai
jab se tasveer utaari uski
tab se deewaar mein sar lagta hai
uska saaya mere bistar mein hai
chipkali se ise dar lagta hai
door taalaab bahut sehra se
aadhi aankhon se idhar lagta hai
ये मिरे ग़म का असर लगता है
बिन मिरे ही भरा घर लगता है
छत गिरेगी किसी दिन मेरे सर
ये हुआ ही न मगर लगता है
जब से तस्वीर उतारी उसकी
तब से दीवार में सर लगता है
उसका साया मिरे बिस्तर में है
छिपकली से इसे डर लगता है
दूर तालाब बहुत सहरा से
आधी आँखों से इधर लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Tasweer Shayari Shayari