dekhna aankhon ke mushkil beech mein | देखना आँखों के मुश्किल बीच में

  - komal selacoti

dekhna aankhon ke mushkil beech mein
dasht par baitha hai qaateel beech mein

ghul ja tu baad-e-bahaari mein kabhi
phir kitaabon ke kabhi mil beech mein

uski baaton par na karne waalon mein
bas bure chehre hain shaamil beech mein

ye nazar meri lagi hoti use
par the kaajal aur ye til beech mein

kyun karein ham ishq ik tarafaa ki jab
rehta hai seene mein bhi dil beech mein

देखना आँखों के मुश्किल बीच में
दश्त पर बैठा है क़ातिल बीच में

घुल जा तू बाद-ए-बहारी में कभी
फिर किताबों के कभी मिल बीच में

उसकी बातों पर न करने वालों में
बस बुरे चेहरे हैं शामिल बीच में

ये नज़र मेरी लगी होती उसे
पर थे काजल और ये तिल बीच में

क्यूँ करें हम इश्क़ इक तरफ़ा कि जब
रहता है सीने में भी दिल बीच में

  - komal selacoti

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by komal selacoti

As you were reading Shayari by komal selacoti

Similar Writers

our suggestion based on komal selacoti

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari