zamaana jawaani ki taameer hai bas
ghazal ik muhabbat ki tahreer hai bas
chalo aaj usko nahin rokte hain
use ham mile hain ye taqdeer hai bas
jise kah raha hai tu naadaan baccha
qalam ki jagah haath shamsheer hai bas
kabhi maat ko jeet mein vo badal de
palat de jo takhta wahi veer hai bas
kai saare dushman akela tiwaari
mere paas mein sirf ik teer hai bas
ज़माना जवानी की तामीर है बस
ग़ज़ल इक मुहब्बत की तहरीर है बस
चलो आज उसको नहीं रोकते हैं
उसे हम मिले हैं ये तक़दीर है बस
जिसे कह रहा है तू नादान बच्चा
क़लम की जगह हाथ शमशीर है बस
कभी मात को जीत में वो बदल दे
पलट दे जो तख़्ता वही वीर है बस
कई सारे दुश्मन अकेला तिवारी
मेरे पास में सिर्फ़ इक तीर है बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tiwari Jitendra
our suggestion based on Tiwari Jitendra
As you were reading Dushmani Shayari Shayari