dasht mein jab hawaaein kheenchti hain | दश्त में जब हवाएँ खींचती हैं - 'Amaan' Haider

dasht mein jab hawaaein kheenchti hain
har diye kii shuaaein kheenchti hain

chaand ka noor kheeche chehra tera
aur zulfein ghataaein kheenchti hain

chhodkar yaaron ko na jaaun magar
jaan-e-dil kii adaayein kheenchti hain

jaanib-e-dasht khwaabgah se mujhe
phir kisi kii sadaaein kheenchti hain

ab to laazim hai toot jaana mera
mujhko chaaron dishaaein kheenchti hain

in khilauno kii kyun dukano se
apne bachchon ko maayein kheenchti hain

mujhko har baar mushkilon se amaan
meri maa kii duaaein kheenchti hain

दश्त में जब हवाएँ खींचती हैं
हर दिए की शुआएँ खींचती हैं

चाँद का नूर खींचे चेहरा तेरा
और ज़ुल्फ़ें घटाएँ खींचती हैं

छोड़कर यारों को न जाऊँ मगर
जान-ए-दिल की अदाएँ खींचती हैं

जानिब-ए-दश्त ख़्वाबगह से मुझे
फिर किसी की सदाएँ खींचती हैं

अब तो लाज़िम है टूट जाना मेरा
मुझको चारों दिशाएँ खींचती हैं

इन खिलौनों की क्यों दुकानों से
अपने बच्चों को माएँ खींचती हैं

मुझको हर बार मुश्किलों से "अमान"
मेरी माँ की दुआएँ खींचती हैं

- 'Amaan' Haider
1 Like

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by 'Amaan' Haider

As you were reading Shayari by 'Amaan' Haider

Similar Writers

our suggestion based on 'Amaan' Haider

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari