nabi ki di hui thi jo risaalat bhool baithe ho | नबी की दी हुई थी जो रिसालत भूल बैठे हो

  - ALI ZUHRI

nabi ki di hui thi jo risaalat bhool baithe ho
nabi ke chaahne waalon shuja'at bhool baithe ho

mohammad se mohabbat ka to daava khoob karte ho
magar siddiq akbar ki sadaqat bhool baithe ho

tumhein usmaan hona tha umar farooq hona tha
siyaasat karne waalon tum khilaafat bhool baithe ho

kisi tapte hue sehra mein the pyaase bahattar vo
ali zahra ke baccho ki shahaadat bhool baithe ho

arab waalo tumhein di thi nigehbaani jo ka'be ki
nabi ke khutbe ki tum hi wasiyyat bhool baithe ho

saja ke sar pe tum topi bane ho deen ke rahbar
magar tum deen ki apne shareeat bhool baithe ho

badar ke teen sau terah ka lashkar yaad hai tumko
ya ab jung-e-jadal ki tum hazaqat bhool baithe ho

bate ho tum jo firqo mein zara quraan ko thaamo
rivaayat maanne waalon haqeeqat bhool baithe ho

नबी की दी हुई थी जो रिसालत भूल बैठे हो
नबी के चाहने वालों शुजा'अत भूल बैठे हो

मोहम्मद से मोहब्बत का तो दावा ख़ूब करते हो
मगर सिद्दीक़ अक़बर की सदाक़त भूल बैठे हो

तुम्हें उस्मान होना था उमर फ़ारूक़ होना था
सियासत करने वालों तुम ख़िलाफ़त भूल बैठे हो

किसी तपते हुए सहरा में थे प्यासे बहत्तर वो
अली ज़हरा के बच्चो की शहादत भूल बैठे हो

अरब वालो तुम्हें दी थी निगेहबानी जो का'बे की
नबी के ख़ुत्बे की तुम ही वसिय्यत भूल बैठे हो

सजा के सर पे तुम टोपी बने हो दीन के रहबर
मगर तुम दीन की अपने शरीअत भूल बैठे हो

बदर के तीन सौ तेरह का लश्कर याद है तुमको
या अब जंग-ए-जदल की तुम हज़ाक़त भूल बैठे हो

बटे हो तुम जो फ़िरक़ो में ज़रा क़ुरआन को थामो
रिवायत मानने वालों हक़ीक़त भूल बैठे हो

  - ALI ZUHRI

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ALI ZUHRI

As you were reading Shayari by ALI ZUHRI

Similar Writers

our suggestion based on ALI ZUHRI

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari